Jadoo Kar Gaye Kisi Ke Naina...


Jadoo KAr Gaye Kisi Ke Naina- Lata Mangeshkar- Film Ziddi 1948- Lyricist Prem Dhawan- Music Khemchand Prakash.

Film Ziddi, released in 1948, had two memorable songs of Lata Mangeshkar. One was "Chanda Re Ja Re Ja Re", and another one" Jadoo Kar Gaye Kisike Naina". My previous post covers the song "Chanda Re Ja Re". The second song "Jadoo Kar Gaye" is a playful song, depicting the inner feeling of woman falling in love.She is so mesmerized by his eyes, that the feeling within her are beyond control.

Lata's tender voice, Prem Dhawan's lyrics and the KP's music makes this unforgettable and never seizes to appeal you..

Lyrics of the Song:

jadu kar gaye kisi ke naina
ke man mere bas me nahin
jadu kar gaye kisi ke naina

sapno me kho gayi main
kya kisi ki ho gayi main
sapno me kho gayi main
kya kisi ki ho gayi main
kaise ye bhed chhupaun
ke man more bas me nahin
jadu kar gaye kisi ke naina

bindiya lagaungi main mehendi rachaungi main
bindiya lagaungi main mehendi rachaungi main
dur khadi sharmaun ghunghat mein musakaun
ke man mere bas me nahin
jadu kar gaye kisi ke naina

jin nainan se nain milaye
jin nainan se nain milaye
unko rota chhod  na jaiyo
jin nainan se nain milaye
unko rota chhod  na jaiyo
tumne jisme prit jagayi
tumne jisme prit jagayi
us manva ko tod na jaiyo tod na jaiyo
tum bin chain na paun
ke man more bas me nahin

jadu kar gaye kisi ke naina
ke man mere bas me nahin
jadu kar gaye kisi ke naina





Ziddi 1948
Film cast: Chanda, Dev Anand, Kamini Kaushal, Nawab, Kuldeep, Pran, Pratima Devi, Indu Shivraj
Singer: Lata Mangeshkar, Kishore Kumar, Shamshad Begum
Lyricist: Professor Jazbi, Nakshab Jarchvi, Raja Mehdi Ali Khan, Prem Dhawan
Music Director: Khemchand Prakash
Film Director: Shahid Lateef

Comments

Popular Posts